सोमवार, 21 जनवरी 2013

Maa tere doodh ka haq humse adaa kya hoga
Tu jo naraz hui khush humse khuda kya hogaMaa tere doodh ka haq humse aada kya hogaYaad hai aaj bhi maa mujhko zamana meraMujhko School talak chodke aana teraSard jaadou ki khatarti hui raatou mai mujheMaa chupaleti thi mujhe pyar se baahou mai mujheGarmiyou mai mujhe anchal ki hawa deti thiPhulne phalne ki tu mujhko duva deti thiRaat bhar jag ke seene pe sulaya tuneKhud rahi bhuki magar mujhko khilaya tuneTere dil jaisa kisi aur ka dil kya hogaMaa tere doodh ka haq humse aada kya hogaTune aulad pe kya kuch nahi Qurbaan kiyaApni neende humein di apna woh sukh chain diyaLog karte thai agar tujhse shikayat meriApni jaan par khelkar karti thi hifazat meriJab koi mujhko sataye tou bigadjatiMeri khatir kabhi jhagde par utar aati thiMere saansou mai tu moujud hai khusboo bankerMeri raatou mai chamakti hai tu jugnu bankerTera dil todke dil mera bhala kya hogaMaa tere doodh ka haq humse aada kya hogaYaad aati hai abhitak baatei teriMere rone se chalak jaati thi aankhein teriTu mujhe rota hua dekhkar rodeti thiApna sukh chain mere waste khodeti thiPhir duaein mujhe de ab bhi sawar jaungaTu yunhi roti rahi tou mai marjungaHoga ehsaan gale badke lagale mujhkoApne mamta bhare jannat mai chupale mujhkoYahi ek raasta hai is ke siva kya hogaMaa tere doodh ka haq humse aada kya hogaTujhko Allah ne kya khoob sharf baqshaZikar quran ke paarou mai tera aaya haiTeri azmat ko farishtou ne i di haiYahi waliyou ne imamou ne gulami ki haiApne betou ke sitam haske uthaleti haiAur tu hai ke inhe phir bhi dua deti haiHai teri zaat pe Allah ki khudrat ko bhi naazHo ijazat tou pahdhou mai tere anchal pe namazMartabe mai koi maa tujhse bada kya hogaMaa tere doodh ka haq humse aada kya hogaWasta adam e hawa ka tujhe deta huWasta shahe madina ka tujhe deta Wasta deta hu hyder ki shujat ka tujheWasta Fatima Zahra ki ibadat ka tujheTu jo khush hogi tou khush honge Hussain aur HassanWarna veeran rahega mere jeevan ka chamanAye meri maa tu mera doodh na baqshegi agarAag douzaq ki jalayegi mujhe reh reh karBaad marne ke zara sonch mera kya hogaMaa tere doodh ka haq humse aada kya hogaAye Parwardigar, Aye baari talah, ya Allah SWT hum tujhse iltija karte hai ki jistarah hamare walidain ne bachpan mai humein paal poskar badha kiya jis shafaqat ki nazar se woh humein dekhte thai hum tujhse bheek maangte hai ki wahi shafaqqat ki nazar tu unpar daal, unki beemari ko dour karde, unko sehat e kamila aur ajila aata kar, aur humko unke farmabardaar aulad bana ameen aur jinke walid ya walda inteqal farmachuke hai tou unki qabr noor ki tarah chamka de aur unko jannah me aala se aala darjaat aata farma ameen summa aameen ya rabbul aalameen